janab-e-hazrat-e-dil arsh-e-kibriya dekho
janāb-e-hazrat-e-dil arsh-e-kibriyā dekho
ḳhudī suuñ apne guzar ḳhāna-e-ḳhudā dekho
fareb deve hai nādāñ ko zohd suuñ zāhid
ḳhudā kī raah meñ ye ġhuul rahnumā dekho
qazā vañh kī hai farmāñ moñ is qadar jaano
razā-e-haq meñ raho mashad-e-razā dekho
janāb-e-ishq ko kuchh rabt jism-e-zār meñ hai
ye ustuḳhvāñ ke uupar sāya-e-humā dekho
janab-e-hazrat-e-dil arsh-e-kibriya dekho
KHudi sun apne guzar KHana-e-KHuda dekho
fareb dewe hai nadan ko zohd sun zahid
KHuda ki rah mein ye ghul rahnuma dekho
qaza wanh ki hai farman mon is qadar jaano
raza-e-haq mein raho mashad-e-raza dekho
janab-e-ishq ko kuchh rabt jism-e-zar mein hai
ye ustuKHwan ke upar saya-e-huma dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.