Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sharma gae laja gae daman chhuDa gae

Jigar Moradabadi

sharma gae laja gae daman chhuDa gae

Jigar Moradabadi

MORE BYJigar Moradabadi

    sharmā ga.e lajā ga.e dāman chhuḌā ga.e

    ai ishaq marhabā vo yahāñ tak to aa ga.e

    dil par hazār tarh ke auhām chhā ga.e

    ye tum ne kyā kiyā mirī duniyā meñ aa ga.e

    sab kuchh luTā ke rāh-e-mohabbat meñ ahl-e-dil

    ḳhush haiñ ki jaise daulat-e-kaunain ga.e

    sehn-e-chaman ko apnī bahāroñ pe naaz thā

    vo aa ga.e to saarī bahāroñ pe chhā ga.e

    aql-o-junūñ meñ sab thiiñ rāheñ judā judā

    hir-phir ke lekin ek manzil pe aa ga.e

    ab kyā karūñ maiñ fitrat-e-nākām-e-ishq ko

    jitne the hādsāt mujhe raas aa ga.e

    sharma gae laja gae daman chhuDa gae

    ai ishaq marhaba wo yahan tak to aa gae

    dil par hazar tarh ke auham chha gae

    ye tum ne kya kiya meri duniya mein aa gae

    sab kuchh luTa ke rah-e-mohabbat mein ahl-e-dil

    KHush hain ki jaise daulat-e-kaunain pa gae

    sehn-e-chaman ko apnī bahaaron pe naz tha

    wo aa gae to sari bahaaron pe chha gae

    aql-o-junun mein sab ki thin rahen juda juda

    hir-phir ke lekin ek hi manzil pe aa gae

    ab kya karun main fitrat-e-nakaam-e-ishq ko

    jitne the hadsat mujhe ras aa gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now