Sufinama

kaam aaKHir jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya

Jigar Moradabadi

kaam aaKHir jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya

Jigar Moradabadi

MORE BYJigar Moradabadi

    kaam āḳhir jazba-e-be-iḳhtiyār aa gayā

    dil kuchh is sūrat se taḌpā un ko pyaar aa gayā

    jab nigāheñ uTh ga.iiñ allāh merāj-shauq

    dekhtā kyā huuñ vo jān-e-intizār aa gayā

    haaye ye husn-e-tasavvur kāfirīn-e-rañg-o-bū

    maiñ ye samjhā jaise vo jān-e-bahār aa gayā

    haañ sazā de ai ḳhudā-e-ishq ai taufīq-e-ġham

    phir zabān-e-be-adab par zikr-e-yār aa gayā

    is tarah ḳhush huuñ kisī ke va.ada-e-fardā pe maiñ

    dar-haqīqat jaise mujh ko e'tibār aa gayā

    haa.e kāfir-dil ye kāfir-jūuñ-añgeziyāñ

    tum ko pyaar aa.e na aa.e mujh ko pyaar aa gayā

    dard ne karvaT badlī thī ki dil aar se

    daf.atan parda uThā aur parda-dār aa gayā

    dil ne ik naala kiyā aaj is tarah dīvāna-vār

    baal bikhrā.e koī msatānā-vār aa gayā

    jaan de 'jigar' ne aaj pā-e-yār par

    umr-bhar be-qarārī ko qarār aa gayā

    kaam aaKHir jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya

    dil kuchh is surat se taDpa un ko pyar aa hi gaya

    jab nigahen uTh gain allah ri meraj-shauq

    dekhta kya hun wo jaan-e-intizar aa hi gaya

    haye ye husn-e-tasawwur kafirin-e-rang-o-bu

    main ye samjha jaise wo jaan-e-bahaar aa hi gaya

    han saza de ai KHuda-e-ishq ai taufiq-e-gham

    phir zaban-e-be-adab par zikr-e-yar aa hi gaya

    is tarah KHush hun kisi ke wada-e-farda pe main

    dar-haqiqat jaise mujh ko e'tibar aa hi gaya

    hae kafir-dil ki ye kafir-juun-angeziyan

    tum ko pyar aae na aae mujh ko pyar aa hi gaya

    dard ne karwaT hi badli thi ki dil ki aar se

    dafatan parda uTha aur parda-dar aa hi gaya

    dil ne ek nala kiya aaj is tarah diwana-war

    baal bikhrae koi msatana-war aa hi gaya

    jaan hi de di 'jigar' ne aaj pa-e-yar par

    umr-bhar ki be-qarari ko qarar aa hi gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now