jis waqt tū be-naqāb aawe
jis vaqt tū be-naqāb aave
hogā koī jis ko taab aave
kaafī hai naqāb-e-zulf muñh par
āshiq se agar hijāb aave
kyūñkar kahe koī haal tujh se
har baat meñ jo itaab aave
qāsid se kahā hai vaqt-e-ruḳhsat
jo vo but-e-be-hijāb aave
le aa.iyo gar javāb deve
lāzim hai ki tū shitāb aave
ai jāñ-ba-lab rasīda itnā
rahnā hai ki tā javāb aave
'bedār' ko tujh bin ai dil-ārām
hotā hī nahīñ ki ḳhvāb aave
jis waqt tū be-naqāb aawe
hogā koī jis ko tab aawe
kafī hai naqāb-e-zulf muñh par
āshiq se agar hijāb aawe
kyūñkar kahe koī haal tujh se
har baat meñ jo itab aawe
qāsid se kahā hai waqt-e-ruḳhsat
jo wo but-e-be-hijāb aawe
le aaiyo gar jawāb dewe
lāzim hai ki tū shitāb aawe
ai jāñ-ba-lab rasīda itnā
rahnā hai ki tā jawāb aawe
'bedār' ko tujh bin ai dil-ārām
hotā hī nahīñ ki ḳhwāb aawe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.