Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jo ab bhi na taklif farmaiyega

Jigar Moradabadi

jo ab bhi na taklif farmaiyega

Jigar Moradabadi

MORE BYJigar Moradabadi

    jo ab bhī na taklīf farmā.iyegā

    to bas haath malte rah jā.iyegā

    nigāhoñ se chhup kar kahāñ jā.iyegā

    jahāñ jā.iyegā hameñ pā.iyegā

    mirā jab burā haal sun pā.iyegā

    ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ chale ā.iyegā

    miTā kar hameñ aap pachhtā.iyegā

    kamī koī mahsūs farmā.iyegā

    nahīñ khel nāseh junūñ haqīqat

    samajh lījiyegā to samjhā.iyegā

    hameñ bhī ye ab dekhnā hai ki ham par

    kahāñ tak tavajjoh na farmā.iyegā

    sitam ishq meñ aap āsāñ na samjheñ

    taḌap jā.iyegā jo taḌpā.iyegā

    ye dil hai ise dil bas rahne diije

    karam kījiyegā to pachhtā.iyegā

    kahīñ chup rahī hai zabān-e-mohabbat

    na farmā.iyegā to farmā.iyegā

    bhulānā hamārā mubārak mubārak

    magar shart ye hai na yaad ā.iyegā

    hameñ bhī na ab chain aa.egā jab tak

    in āñkhoñ meñ aañsū na bhar lā.iyegā

    tirā jazba-e-shauq hai be-haqīqat

    zarā phir to irshād farmā.iyegā

    hamīñ jab na hoñge to kyā rañg-e-mahfil

    kise dekh kar aap sharmā.iyegā

    ye maanā ki de kar hameñ rañj-e-furqat

    mudāvā-e-furqat na farmā.iyegā

    mohabbat mohabbat rahtī hai lekin

    kahāñ tak tabī.at ko behlā.iyegā

    na hogā hamārā āġhosh ḳhālī

    kuchh apnā bhī pahlū tahī pā.iyegā

    junūñ 'jigar' koī had bhī hai āḳhir

    kahāñ tak kisī par sitam Dhā.iyegā

    jo ab bhi na taklif farmaiyega

    to bas hath malte hi rah jaiyega

    nigahon se chhup kar kahan jaiyega

    jahan jaiyega hamein paiyega

    mera jab bura haal sun paiyega

    KHiraman KHiraman chale aaiyega

    miTa kar hamein aap pachhtaiyega

    kami koi mahsus farmaiyega

    nahin khel naseh junun ki haqiqat

    samajh lijiyega to samjhaiyega

    hamein bhi ye ab dekhna hai ki hum par

    kahan tak tawajjoh na farmaiyega

    sitam ishq mein aap aasan na samjhen

    taDap jaiyega jo taDpaiyega

    ye dil hai ise dil hi bas rahne dije

    karam kijiyega to pachhtaiyega

    kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat

    na farmaiyega to farmaiyega

    bhulana hamara mubarak mubarak

    magar shart ye hai na yaad aaiyega

    hamein bhi na ab chain aaega jab tak

    in aankhon mein aansu na bhar laiyega

    tera jazba-e-shauq hai be-haqiqat

    zara phir to irshad farmaiyega

    hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil

    kise dekh kar aap sharmaiyega

    ye mana ki de kar hamein ranj-e-furqat

    mudawa-e-furqat na farmaiyega

    mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin

    kahan tak tabiat ko behlaiyega

    na hoga hamara hi aaghosh KHali

    kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega

    junun ki 'jigar' koi had bhi hai aaKHir

    kahan tak kisi par sitam Dhaiyega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now