jo dekhe qad ko teri sarw-e-bostan jal jae
jo dekhe qad ko terī sarv-e-bostāñ jal jaa.e
sharār-e-nālā-e-qamrī se āshiyāñ jal jaa.e
bayān-e-soz meñ jiyūñ sham.a ye zabāñ jal jaa.e
zabāñ to kyā hai ki ik-dam meñ ustuḳhvāñ jal jaa.e
bayāñ maiñ kyūñki karūñ aah soz-e-dāġh-e-gigar
misāl-e-sham.a kī dam lene suuñ zabāñ jal jaa.e
badan moñ jis kī tap-e-ishq kī lahar pahuñche
misāl pamba kī ik-dam meñ ustuḳhvāñ jal jaa.e
jo dekhe qad ko teri sarw-e-bostan jal jae
sharar-e-nala-e-qamri se aashiyan jal jae
bayan-e-soz mein jiyun shama ye zaban jal jae
zaban to kya hai ki ik-dam mein ustuKHwan jal jae
bayan main kyunki karun aah soz-e-dagh-e-gigar
misal-e-shama ki dam lene sun zaban jal jae
badan mon jis ki tap-e-ishq ki lahar pahunche
misal pamba ki ik-dam mein ustuKHwan jal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.