jo kisi pe aap na kar sake mujhe us jafa ki talash hai
jo kisi pe aap na kar sake mujhe us jafa ki talash hai
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
jo kisī pe aap na kar sake mujhe us jafā kī talāsh hai
rahe jis se aap bhī be-ḳhabar mujhe us adā kī talāsh hai
jo tire jamāl pe chhā sake mujhe us baqā kī hai aarzū
tirā husn jis meñ samā sake mujhe us fanā kī talāsh hai
hai tamām ḳhvāhish-o-justajū ye mire junūn kī intihā
jo huī thī terī nigāh se usī ibtidā kī talāsh hai
mire hosh meñ jo na aa sakā jo mire junūñ se na jā sakā
usī be-vafā kī hai justujū usī āshnā kī talāsh hai
kahāñ tū ne 'maikash'-e-mast ko kyā ġham ki terī nigāh meñ
usī ġham-zada kī hai justujū usī mubtalā kī talāsh hai
jo kisi pe aap na kar sake mujhe us jafa ki talash hai
rahe jis se aap bhi be-KHabar mujhe us ada ki talash hai
jo tere jamal pe chha sake mujhe us baqa ki hai aarzu
tera husn jis mein sama sake mujhe us fana ki talash hai
hai tamam KHwahish-o-justaju ye mere junun ki intiha
jo hui thi teri nigah se usi ibtida ki talash hai
mere hosh mein jo na aa saka jo mere junun se na ja saka
usi be-wafa ki hai justuju usi aashna ki talash hai
kahan tu ne 'maikash'-e-mast ko kya gham ki teri nigah mein
usi gham-zada ki hai justuju usi mubtala ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.