jo pahchan aae to pahchan jae
jo pahchān aa.e to pahchān jaa.e
mujhe jaan jaaye tumheñ jaan jaa.e
mirā diin jaa.e ki īmān jaa.e
vo man jaaye mujh se mirī maan jaa.e
agar jaan jaatī hai to jaan jaa.e
vo jaan taġhāful magar jaan jaa.e
vo insān ke dil meñ jab ghar banā.eñ
kahāñ ghar banāne ko insān jaa.e
ye inkār-o-iqrār chhoḌo ki un se
na īmān aa.e na īmān jaa.e
tumhārī tamannā ko dil se nikāleñ
kahāñ ghar se bāhar ye mehmān jaa.e
na ho tum vahāñ to junūñ se na hogā
ki baiThe biThā.e bayābān jaa.e
zahīn un ko un se alag dekhnā hai
jahāñ vo na aa.eñ vahāñ dhyān jaa.e
jo pahchan aae to pahchan jae
mujhe jaan jaye tumhein jaan jae
mera din jae ki iman jae
wo man jaye mujh se meri man jae
agar jaan jati hai to jaan jae
wo jaan taghaful magar jaan jae
wo insan ke dil mein jab ghar banaen
kahan ghar banane ko insan jae
ye inkar-o-iqrar chhoDo ki un se
na iman aae na iman jae
tumhaari tamanna ko dil se nikalen
kahan ghar se bahar ye mehman jae
na ho tum wahan to junun se na hoga
ki baiThe biThae bayaban jae
zahin un ko un se alag dekhna hai
jahan wo na aaen wahan dhyan jae
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.