Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jo tū ho pas to dekhūñ bahār āñkhoñ se

Meer Muhammad Bedar

jo tū ho pas to dekhūñ bahār āñkhoñ se

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    jo ho paas to dekhūñ bahār āñkhoñ se

    vagarna karte haiñ gul kār-e-ḳhār āñkhoñ se

    zi-bas ki ātish-e-ġham shola-zan hai siine meñ

    girīñ haiñ ashk jāgah sharār āñkhoñ se

    maiñ yaad kar dur-e-dandān-e-yār rotā huuñ

    Tapakte haiñ guhar-e-āb-dār āñkhoñ se

    Tuk aa ke dekh ai sarv-qad mirā ahvāl

    ravāñ hai ġham meñ tire jūebār āñkhoñ se

    chaḌhā.ūñ dasta-e-nargis mazār-e-majnūñ par

    jo dekhūñ aaj maiñ rū-e-nigār āñkhoñ se

    chaman meñ kal koī tujh parī nazar na paḌā

    agarche dekhe haiñ kar hazār āñkhoñ se

    huā hai dīda-e-'bedār' gul-fishāñ jab se

    girā hai tab se ye abr-e-bahār āñkhoñ se

    jo ho pas to dekhūñ bahār āñkhoñ se

    wagarna karte haiñ gul kār-e-ḳhār āñkhoñ se

    zi-bas ki ātish-e-ġham shola-zan hai sine meñ

    girīñ haiñ ashk jāgah sharār āñkhoñ se

    maiñ yaad kar dur-e-dandān-e-yār rotā huñ

    Tapakte haiñ guhar-e-āb-dār āñkhoñ se

    Tuk aa ke dekh ai sarw-qad mirā ahwāl

    rawāñ hai ġham meñ tere jūebār āñkhoñ se

    chaḌhāūñ dasta-e-nargis mazār-e-majnūñ par

    jo dekhūñ aaj maiñ rū-e-nigār āñkhoñ se

    chaman meñ kal koī tujh parī nazar na paḌā

    agarche dekhe haiñ kar hazār āñkhoñ se

    huā hai dīda-e-'bedār' gul-fishāñ jab se

    girā hai tab se ye abr-e-bahār āñkhoñ se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now