Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jo ye jism sar-ta-qadam dekhte hain

Mardan Safi

jo ye jism sar-ta-qadam dekhte hain

Mardan Safi

MORE BYMardan Safi

    jo ye jism sar-tā-qadam dekhte haiñ

    tumhīñ tum ko ham ai sanam dekhte haiñ

    ye sab aap hai guft-o-shunīd

    jo gosh-o-zabān-o-qalam dekhte haiñ

    aur aapī hai sab ye jalva miyāñ

    jo pesh-e-nazar dam-ba-dam dekhte haiñ

    jo haiñ mahv-e-dīdār ham is qadar

    ye aapī lutf-o-karam dekhte haiñ

    piyā jab se jām-e-sharāb-e-tahūra

    tabhī se to dam haiñ adam dekhte haiñ

    tan-o-jān-o-dil jumla harkāt meñ

    shah-e-qul-hu-allāh ko ham dekhte haiñ

    tumhīñ ho 'safī' 'shāh-e-mardāñ' diid

    na ham besh dekheñ na kam dekhte haiñ

    jo ye jism sar-ta-qadam dekhte hain

    tumhin tum ko hum ai sanam dekhte hain

    ye sab aap hi ki hai guft-o-shunid

    jo gosh-o-zaban-o-qalam dekhte hain

    aur aapi ka hai sab ye jalwa miyan

    jo pesh-e-nazar dam-ba-dam dekhte hain

    jo hain mahw-e-didar hum is qadar

    ye aapi ka lutf-o-karam dekhte hain

    piya jab se jam-e-sharab-e-tahura

    tabhi se to dam hain adam dekhte hain

    tan-o-jaan-o-dil jumla harkat mein

    shah-e-qul-hu-allah ko hum dekhte hain

    tumhin ho 'safi' 'shah-e-mardan' ki did

    na hum besh dekhen na kam dekhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now