juz musht-e-KHak kuchh na rahe ga nishan-e-umr
juz musht-e-ḳhāk kuchh na rahe gā nishān-e-umr
mulk-e-adam ko jaatā hai ye kārvān-e-umr
qissa usī kā ho koī kahtā hai sub.h ko
piirī meñ muḳhtasar kaaro ab dāstān-e-umr
fursat kahāñ hai sair kī piirī moñ baaġh kī
aave hai sub.h hote hī fasl-e-ḳhazān-e-umr
juz musht-e-KHak kuchh na rahe ga nishan-e-umr
mulk-e-adam ko jata hai ye karwan-e-umr
qissa usi ka ho koi kahta hai subh ko
piri mein muKHtasar karo ab dastan-e-umr
fursat kahan hai sair ki piri mon bagh ki
aawe hai subh hote hi fasl-e-KHazan-e-umr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.