kaam itna mere pyare charKH-e-kuhan se nikle
kaam itnā mere pyāre charḳh-e-kuhan se nikle
tum se na huuñ judā maiñ jab jaan tan se nikle
tum hālat-e-naza.a meñ bhī paas mere rahnā
tā-kalima-e-mohammad mere dahan se nikle
yārab na tā-qayāmat muhtāj huuñ kisī kā
jo ho mirī tamannā vo panj-tan se nikle
vahshat na qabr meñ ho tum sāmne hī rahnā
dast-e-junūñ na merā bāhar kafan se nikle
hai lutf zindagī kā ba.ad-az-fanā usī meñ
nām-e-ḳhudā jo apne sab tan-badan se nikle
roza namāz tasbīh pahuñchā.eñge na vaañ tak
hogā visāl usī ko jo mā-o-man se nikle
apnī ḳhabar na baaqī rah jā.egī kisī ko
parde se gar kahīñ vo ik bāñkpan se nikle
yād-e-qad-e-sanam meñ maiñ duuñ misāl us vaqt
jab kaam koī merā sarv-e-chaman se nikle
'Mardāñ' jo koī Duube dariyā-e-ishq meñ vo
chhoTe ḳhudī se apne hubb-e-vatan se nikle
kaam itna mere pyare charKH-e-kuhan se nikle
tum se na hun juda main jab jaan tan se nikle
tum haalat-e-naza mein bhi pas mere rahna
ta-kalima-e-mohammad mere dahan se nikle
yarab na ta-qayamat muhtaj hun kisi ka
jo ho meri tamannā wo panj-tan se nikle
wahshat na qabr mein ho tum samne hi rahna
dast-e-junun na mera bahar kafan se nikle
hai lutf zindagi ka baad-az-fana usi mein
nam-e-KHuda jo apne sab tan-badan se nikle
roza namaz tasbih pahunchaenge na wan tak
hoga visal usi ko jo ma-o-man se nikle
apnī ḳhabar na baqi rah jaegi kisi ko
parde se gar kahin wo ek bankpan se nikle
yaad-e-qad-e-sanam mein main dun misal us waqt
jab kaam koi mera sarw-e-chaman se nikle
'Mardan' jo koi Dube dariya-e-ishq mein wo
chhoTe KHudi se apne hubb-e-watan se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.