karwan-e-umr-e-rafta ki nishani rah gai
kārvān-e-umr-e-rafta kī nishānī rah ga.ī
ruuh ban kar iztirāb-e-jāvedānī rah ga.ī
ek nuqta par simaT kar zindagānī rah ga.ī
naqsh ho kar dil meñ un kī mehrbānī rah ga.ī
ham bahut aage nikal aa.e hayāt-e-ishq meñ
saath thoḌī duur chal kar umr-e-fānī rah ga.ī
apnī sūrat dekh kar terī haqīqat dekh leñ
ab yahī ik shakl-e-idrak-e-mānī rah ga.ī
aap aa jaa.eñ to ho jaa.e ye qissa bhī tamām
zindagī ho kar adhūrī sī kahānī rah ga.ī
ab tasavvur kī nazar se dekh letā huuñ 'zahīn'
is javāñ jaipūr ko jis meñ javānī rah ga.ī
karwan-e-umr-e-rafta ki nishani rah gai
ruh ban kar iztirab-e-jawedani rah gai
ek nuqta par simaT kar zindagani rah gai
naqsh ho kar dil mein un ki mehrbani rah gai
hum bahut aage nikal aae hayat-e-ishq mein
sath thoDi dur chal kar umr-e-fani rah gai
apni surat dekh kar teri haqiqat dekh len
ab yahi ek shakl-e-idrak-e-mani rah gai
aap aa jaen to ho jae ye qissa bhi tamam
zindagi ho kar adhuri si kahani rah gai
ab tasawwur ki nazar se dekh leta hun 'zahin'
is jawan jaipur ko jis mein jawani rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.