kabhi chaman ki taraf jab wo KHush-KHiram aae
kabhī chaman kī taraf jab vo ḳhush-ḳhirām aa.e
sabhī qadoñ meñ vo ḳhush-qad goyā imaam aa.e
kabhī jo ahl-e-basīrat kī ik nazar ho jaaye
jo be-hunar ho vahī sāhab-e-hunar ho jaa.e
firāq-e-yār kabhī dil meñ yaad gar ho jaaye
hazār TukḌe alam suuñ vahīñ jigar ho jaaye
gar naqāb us ruḳh-e-raushan suuñ kabhī gir jaaye
bām-e-gardūñ se ḳhajil ho mah-e-tābāñ gir jaa.e
kabhi chaman ki taraf jab wo KHush-KHiram aae
sabhi qadon mein wo KHush-qad goya imam aae
kabhi jo ahl-e-basirat ki ek nazar ho jaye
jo be-hunar ho wahi sahab-e-hunar ho jae
firaq-e-yar kabhi dil mein yaad gar ho jaye
hazar TukDe alam sun wahin jigar ho jaye
gar naqab us ruKH-e-raushan sun kabhi gir jaye
baam-e-gardun se KHajil ho mah-e-taban gir jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.