kabhi dil se na tera dard nikle
kabhī dil se na terā dard nikle
nikaltī hai to āh-e-sard nikle
tumheñ hamdard samjhe the ham apnā
magar tum bhī baḌe be-dard nikle
kiyā barbād armānoñ ne dil ko
mire dushman to ghar ke fard nikle
na thī ummīd hamdardī kī jin se
vahī taqdīr se hamdard nikle
ḳhizāñ kā ḳhauf thā jin ko chaman meñ
unhīñ phūloñ ke chehre zard nikle
kabhi dil se na tera dard nikle
nikalti hai to aah-e-sard nikle
tumhein hamdard samjhe the hum apna
magar tum bhi baDe be-dard nikle
kiya barbaad armanon ne dil ko
mere dushman to ghar ke fard nikle
na thi ummid hamdardi ki jin se
wahi taqdir se hamdard nikle
KHizan ka KHauf tha jin ko chaman mein
unhin phulon ke chehre zard nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.