kabhi sune jo koi sina us ka jal jawai
kabhī sune jo koī siina us kā jal jāvai
asar rakkhe hai fuġhāñ merī aah ke mānind
misāl-e-sham.a kī giryāñ hoñ jo sune us ko
asar rakhe hai fuġhāñ merī aah ke mānind
qadam pe us ke jo sālik haiñ rāh-e-ulfat ke
rakhūñ huuñ sar ke ta.iiñ ḳhāk-e-rāh ke mānind
mile jo mardum-e-bīnā suñ ahl-e-chashm koī
palak meñ pahuñche falak par nigāh ke mānind
kabhi sune jo koi sina us ka jal jawai
asar rakkhe hai fughan meri aah ke manind
misal-e-shama ki giryan hon jo sune us ko
asar rakhe hai fughan meri aah ke manind
qadam pe us ke jo salik hain rah-e-ulfat ke
rakhun hun sar ke tain KHak-e-rah ke manind
mile jo mardum-e-bina sun ahl-e-chashm koi
palak mein pahunche falak par nigah ke manind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.