kahta hai kaun hijr mujhe subh-o-sham ho
kahtā hai kaun hijr mujhe sub.h-o-shām ho
par vasl meñ bhī lutf nahīñ jo mudām ho
shikva kiyā ho mere lab-e-zaḳhm ne kabhū
to mujh pe āb-e-teġh ilāhī harām ho
sāhab tum apne muñh ko chhupāte ho mujh se kyuuñ
hai us se kyā hijāb jo apnā ġhulām ho
muñh lagne se raqīb ke ab sar-chaḌhe haiñ sab
kar Daale us ko zab.h abhī intizām ho
mat dard-e-dil ko pūchh ba-qaul-e-'fuġhāñ' 'bayāñ'
ik umr chāhiye mirā qissa tamām ho
kahta hai kaun hijr mujhe subh-o-sham ho
par wasl mein bhi lutf nahin jo mudam ho
shikwa kiya ho mere lab-e-zaKHm ne kabhu
to mujh pe aab-e-tegh ilahi haram ho
sahab tum apne munh ko chhupate ho mujh se kyun
hai us se kya hijab jo apna ghulam ho
munh lagne se raqib ke ab sar-chaDhe hain sab
kar Dale us ko zabh abhi intizam ho
mat dard-e-dil ko puchh ba-qaul-e-'fughan' 'bayan'
ek umr chahiye mera qissa tamam ho
- Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 116)
- Author : Ahsanullaah Khan Bayan
- Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.