zaban-e-shama khulti hai na kuchh parwana kahta hai
zaban-e-shama khulti hai na kuchh parwana kahta hai
Kaifi Chiraiyakoti
MORE BYKaifi Chiraiyakoti
zabān-e-sham.a khultī hai na kuchh parvāna kahtā hai
magar saarā zamāna bazm kā afsāna kahtā hai
hijāb lāla-o-gul mah-o-anjum ke parde ko
vahī kahtā huuñ maiñ jo jalva-e-jānāna kahtā hai
yahī īmān-e-mastī hai yahī hai diin mastoñ kā
vahī hotā hai jo kuchh sāqi-e-mai-ḳhāna kahtā hai
zaban-e-shama khulti hai na kuchh parwana kahta hai
magar sara zamana bazm ka afsana kahta hai
hijab lala-o-gul mah-o-anjum ke parde ko
wahi kahta hun main jo jalwa-e-jaanana kahta hai
yahi iman-e-masti hai yahi hai din maston ka
wahi hota hai jo kuchh saqi-e-mai-KHana kahta hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 265)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.