han dua jis ne tumko di hogi
haañ duā jis ne tum ko dī hogī
vo mirī zindagī rahī hogī
un ke ruḳh par chamak tabassum kī
merī taqdīr khul ga.ī hogī
jal rahā hai jo dil to jalne do
mere hī ghar meñ raushnī hogī
dekh lo tum umīd-vārī-e-dil
ek kashtī sī Dūbtī hogī
han dua jis ne tum ko di hogi
wo meri zindagi rahi hogi
un ke ruKH par chamak tabassum ki
meri taqdir khul gai hogi
jal raha hai jo dil to jalne do
mere hi ghar mein raushni hogi
dekh lo tum umid-wari-e-dil
ek kashti si Dubti hogi
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 266)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.