kalam-ul-lah ki tafsir hun main
kalām-ul-lāh kī tafsīr huuñ maiñ
jamālullāh kī tasvīr huuñ maiñ
kahīñ to qā.il-e-taqdīr huuñ maiñ
kahīñ par nāḳhun-e-tadbīr huuñ maiñ
mujh hī meñ haiñ musavvir kī adā.eñ
isī ke naaz kī tasvīr huuñ maiñ
farishtoñ kā kiyā muñh band maiñ ne
ġhazab kī boltī tasvīr huuñ maiñ
qafas meñ lauT kar kahtī hai bulbul
karūñ kyā basta-e-zanjīr huuñ maiñ
malā.ek ne kiyā hai rashk mujh par
kuchh aisī muntaḳhab tasvīr huuñ maiñ
maiñ ma.ashūq huuñ yā nāz-o-andāz
kahīñ par āshiq-e-dil-gīr huuñ maiñ
bahut nāzāñ huā me.amār-e-qudrat
banā kar mujh ko vo ta.amīr huuñ maiñ
mohabbat ne mujhe rusvā kiyā hai
vagarna bā.is-e-tash.hīr huuñ maiñ
qafas kī āmad-e-shud kah rahī hai
ba-hardam hālat tafsīr huuñ maiñ
sadā-e-yār kānoñ meñ bharī hai
isī se sūrat-e-tasvīr huuñ maiñ
kahāñ ke ḳhaak bād-o-āb-o-ātish
ziyā-e-ḳhās kī tanvīr huuñ maiñ
hayā ke dar se rusvā kaise uThūñ
ki yak dar-gīr-o-mustahkam-gīr huuñ maiñ
kalam-ul-lah ki tafsir hun main
jamalullah ki taswir hun main
kahin to qail-e-taqdir hun main
kahin par naKHun-e-tadbir hun main
mujh hi mein hain musawwir ki adaen
isi ke naz ki taswir hun main
farishton ka kiya munh band main ne
ghazab ki bolti taswir hun main
qafas mein lauT kar kahti hai bulbul
karun kya basta-e-zanjir hun main
malaek ne kiya hai rashk mujh par
kuchh aisi muntaKHab taswir hun main
main mashuq hun ya naz-o-andaz
kahin par aashiq-e-dil-gir hun main
bahut nazan hua meamar-e-qudrat
bana kar mujh ko wo tamir hun main
mohabbat ne mujhe ruswa kiya hai
wagarna bais-e-tashhir hun main
qafas ki aamad-e-shud kah rahi hai
ba-hardam haalat tafsir hun main
sada-e-yar kanon mein bhari hai
isi se surat-e-taswir hun main
kahan ke KHak baad-o-ab-o-atish
ziya-e-KHas ki tanwir hun main
haya ke dar se ruswa kaise uThun
ki yak dar-gir-o-mustahkam-gir hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.