jo yar ka mansha hai shayan-e-itaat hai
jo yaar kā manshā hai shāyān-e-itā.at hai
apnā yahī maz.hab hai apnī yahī millat hai
allāh meñ bande meñ tamīz hī nisbat hai
samjho to yahī duurī duurī nahīñ qurbat hai
matlūb ho yā tālib tafrīq kī sūrat hai
is farq kā uThnā hī takmīl-e-mohabbat hai
donoñ meñ barābar kā ehsās-e-mohabbat hai
jo ishq kī sūrat hai vo husn kī sūrat hai
un se mujhe nisbat hai mujh se unheñ nisbat hai
qurbān mohabbat ke kyā shān-e-mohabbat hai
barbād jo hotā hai bantā hai vahī 'kāmil'
har be-sar-o-sāmānī sāmān-e-mohabbat hai
jo yar ka mansha hai shayan-e-itaat hai
apna yahi mazhab hai apni yahi millat hai
allah mein bande mein tamiz hi nisbat hai
samjho to yahi duri duri nahin qurbat hai
matlub ho ya talib tafriq ki surat hai
is farq ka uThna hi takmil-e-mohabbat hai
donon mein barabar ka ehsas-e-mohabbat hai
jo ishq ki surat hai wo husn ki surat hai
un se mujhe nisbat hai mujh se unhen nisbat hai
qurban mohabbat ke kya shan-e-mohabbat hai
barbaad jo hota hai banta hai wahi 'kaamil'
har be-sar-o-samani saman-e-mohabbat hai
- Book : Wardat-e-Kamil (Pg. 206)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.