mohabbat ki pahli nazar allah allah
mohabbat kī pahlī nazar allāh allāh
vo tūfān-e-jazb-o-asar allāh allāh
qayāmat thī un kī nazar allāh allāh
na thī mujh ko apnī ḳhabar allāh allāh
ye sar aur tirā sañg-e-dar allāh allāh
muqaddar hai kis auj par allāh allāh
vo aa.e to ik lafz bhī un ke aage
na niklā zban se magar allāh allāh
mire dīda-e-shauq kī un ke ruḳh par
vo me.arāj-e-zauq-e-nazar allāh allāh
use chāñd-sūraj se tashbīh kyā duuñ
jo hai rashk-e-shams-o-qamar allāh allāh
shab-e-va.ada hai aur tasavvur meñ vo haiñ
ka.e jā.iye rāt-bhar allāh allāh
kisī ke vo aariz vo ḳhamdār kākul
udhar allāh allāh idhar allāh allāh
rahī ab na vo be-niyāzī kisī kī
ajab chiiz hai chashm-e-tar allāh allāh
ba-sad nā-murādī murād apnī 'kāmil'
kisī kā ġham-e-mo'tabar allāh allāh
mohabbat ki pahli nazar allah allah
wo tufan-e-jazb-o-asar allah allah
qayamat thi un ki nazar allah allah
na thi mujh ko apnī KHabar allah allah
ye sar aur tera sang-e-dar allah allah
muqaddar hai kis auj par allah allah
wo aae to ek lafz bhi un ke aage
na nikla zban se magar allah allah
mere dida-e-shauq ki un ke ruKH par
wo mearaj-e-zauq-e-nazar allah allah
use chand-suraj se tashbih kya dun
jo hai rashk-e-shams-o-qamar allah allah
shab-e-wada hai aur tasawwur mein wo hain
kae jaiye raat-bhar allah allah
kisi ke wo aariz wo KHamdar kakul
udhar allah allah idhar allah allah
rahi ab na wo be-niyazi kisi ki
ajab chiz hai chashm-e-tar allah allah
ba-sad na-muradi murad apnī 'kaamil'
kisi ka gham-e-mo'tabar allah allah
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 158)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.