kaun yañ bāzār-e-ḳhūbī meñ tirā ham-sañg hai
kaun yaañ bāzār-e-ḳhūbī meñ tirā ham-sañg hai
husn ke mīzāñ meñ tere mahr-o-mah pasañg hai
maiñ vo huuñ dīvāna-e-sarḳhīl-e-arbāb-e-junūñ
haath meñ patthar liye har tifl mere sañg hai
jā-e-takiya āshiq-e-be-ḳhānumāñ ko vaqt-e-ḳhvāb
zer-e-sar kūche meñ tere ḳhisht hai pasañg hai
is javāhar-posh ke dekhe haiñ vo yāqūt-e-lab
jis kī rañgīnī ke aage la.al bhī ik sañg hai
surma.ī āñkhoñ kā tere jo koī bīmār ho
ek miil us ke ta.iiñ rakhnā qadam farsañg hai
jal gayā tanhā na koh-e-tūr hī parvāna-vār
aag tere ishq kī sham-e-dil-e-har-sañg hai
saḳht-jānī merī aur zālim tire sañgīñ-dilī
aah misl-e-āsiyā ye sañg uupar sañg hai
baap kā hai faḳhr vo beTā ki rakhtā ho kamāl
dekh ā.īne ko farzand-e-rashīd-e-sañg hai
sar mirā tere qadam ke saath yuuñ hai pesh-rau
Thokaroñ meñ jis tarah se rah-guzar kā sañg hai
e'tiqād-e-momin-o-kāfir hai rahbar varna phir
kuchh nahīñ dair-o-haram meñ ḳhaak hai pasañg hai
ye sdā ghar ghar kare hai āsiyā phir phir mudām
musht-e-gandum ke liye chhānī ke upar sañg hai
shaiḳh kī masjid se ai 'bedār' kyā hai tujh ko kaam
sajda-gah apnā sanam ke āstāñ kā sañg hai
kaun yañ bāzār-e-ḳhūbī meñ tirā ham-sañg hai
husn ke mīzāñ meñ tere mahr-o-mah pasañg hai
maiñ wo huñ dīwāna-e-sarḳhīl-e-arbāb-e-junūñ
hath meñ patthar liye har tifl mere sañg hai
jā-e-takiya āshiq-e-be-ḳhānumāñ ko waqt-e-ḳhwāb
zer-e-sar kūche meñ tere ḳhisht hai pasañg hai
is jawāhar-posh ke dekhe haiñ wo yāqūt-e-lab
jis kī rañgīnī ke aage lal bhī ek sañg hai
surmaī āñkhoñ kā tere jo koī bīmār ho
ek mil us ke taiñ rakhnā qadam farsañg hai
jal gayā tanhā na koh-e-tūr hī parwāna-wār
aag tere ishq kī sham-e-dil-e-har-sañg hai
saḳht-jānī merī aur zālim tere sañgīñ-dilī
aah misl-e-āsiyā ye sañg upar sañg hai
bap kā hai faḳhr wo beTā ki rakhtā ho kamāl
dekh āīne ko farzand-e-rashīd-e-sañg hai
sar mirā tere qadam ke sath yuñ hai pesh-rau
Thokaroñ meñ jis tarah se rah-guzar kā sañg hai
e'tiqād-e-momin-o-kāfir hai rahbar warna phir
kuchh nahīñ dair-o-haram meñ ḳhak hai pasañg hai
ye sdā ghar ghar kare hai āsiyā phir phir mudām
musht-e-gandum ke liye chhānī ke upar sañg hai
shaiḳh kī masjid se ai 'bedār' kyā hai tujh ko kaam
sajda-gah apnā sanam ke āstāñ kā sañg hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.