dil-e-nadan tujhe aazar hua KHub hua
dil-e-nādāñ tujhe āzār huā ḳhuub huā
dām-e-gesū meñ giraftār huā ḳhuub huā
ye sazā hai dil-e-nādāñ ki na maanā kahnā
nargisīñ chashm kā bīmār huā ḳhuub huā
ek kāfir kī mohabbat ne bhulāyā sab ko
badle tasbīh ke zunnār huā ḳhuub huā
nāsehā mujh se tujhe koī sarokār nahīñ
maiñ jo rusvā sar-e-bāzār huā ḳhuub huā
roz ke jhagḌe se tujhe koī sarokār nahīñ
maiñ jo rusvā sar-e-bāzār huā ḳhuub huā
roz ke jhagḌe se ham ne bhī farāġhat paa.ī
us ko milne se jo inkār huā ḳhuub huā
baar minnat ke mire kaun uThātā sar par
vo na apnā kabhī ġham-ḳhvār huā ḳhuub huā
ḳhauf mahshar kā nahīñ kuchh bhī mire dil meñ 'ḳhalīl'
rahnumā haidar-e-karrār huā kHuub huā
dil-e-nadan tujhe aazar hua KHub hua
dam-e-gesu mein giraftar hua KHub hua
ye saza hai dil-e-nadan ki na mana kahna
nargisin chashm ka bimar hua KHub hua
ek kafir ki mohabbat ne bhulaya sab ko
badle tasbih ke zunnar hua KHub hua
naseha mujh se tujhe koi sarokar nahin
main jo ruswa sar-e-bazar hua KHub hua
roz ke jhagDe se tujhe koi sarokar nahin
main jo ruswa sar-e-bazar hua KHub hua
roz ke jhagDe se hum ne bhi faraghat pai
us ko milne se jo inkar hua KHub hua
bar minnat ke mere kaun uThata sar par
wo na apna kabhi gham-KHwar hua KHub hua
KHauf mahshar ka nahin kuchh bhi mere dil mein 'KHalil'
rahnuma haidar-e-karrar hua kHub hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.