kis tarah dil ko lubhaya yar ne
kis tarah dil ko lubhāyā yaar ne
dair-o-ka.aba ko bhulāyā yaar ne
momin-o-kāfir yahūd-o-bad-yaqīñ
sab meñ rañg apnā dikhāyā yaar ne
huuñ maiñ kāfir gar use samjhūñ judā
nahnu-aqrab kyuuñ sunāyā yaar ne
kyā samajhte ho nafaḳhto fiih ko
ye nishāñ apnā batāyā yaar ne
yaar ke qurbān jā.ūñ maiñ 'ḳhalīl'
yaar mujh ko ḳhud banāyā yaar ne
kis tarah dil ko lubhaya yar ne
dair-o-kaba ko bhulaya yar ne
momin-o-kafir yahud-o-bad-yaqin
sab mein rang apna dikhaya yar ne
hun main kafir gar use samjhun juda
nahnu-aqrab kyun sunaya yar ne
kya samajhte ho nafaKHto fih ko
ye nishan apna bataya yar ne
yar ke qurban jaun main 'KHalil'
yar mujh ko KHud banaya yar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.