nigah-e-mast saqi ne banaya mujhko diwana
nigāh-e-mast saaqī ne banāyā mujh ko dīvāna
nirālī chaal hai apnī 'ajab hai haal mastāna
ḳham-e-abrū-e-jānāñ taaq mehrāb-e-’ibādat hai
kahāñ kā'ba kahāñ masjid kahāñ hai dair-o-but-ḳhāna
zuhūr-e-zāt-e-be-chūñ huuñ nahīñ chūñ-o-charā us meñ
ye nukta hai faqīrāna ye mazmūñ hai judā-gāna
na muftī huuñ na qaazī huuñ na 'ālim huuñ na zāhid huuñ
ġhulām-e-chisth huuñ be-shak suḳhan merā hai rindāna
'ḳhalīl' apnā yahī mashrab yahī millat yahī maz.hab
shah-e-ḳhādim kī ulfat meñ misāl-e-sham' jal jaana
nigah-e-mast saqi ne banaya mujh ko diwana
nirali chaal hai apni 'ajab hai haal mastana
KHam-e-abru-e-jaanan taq mehrab-e-’ibaadat hai
kahan ka'ba kahan masjid kahan hai dair-o-but-KHana
zuhur-e-zat-e-be-chun hun nahin chun-o-chara us mein
ye nukta hai faqirana ye mazmun hai juda-gana
na mufti hun na qazi hun na 'alim hun na zahid hun
ghulam-e-chisth hun be-shak suKHan mera hai rindana
'KHalil' apna yahi mashrab yahi millat yahi mazhab
shah-e-KHadim ki ulfat mein misal-e-sham' jal jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.