KHirqa rehn-e-sharab karta hun
ḳhirqa rehn-e-sharāb kartā huuñ
dil-e-zāhid kabāb kartā huuñ
nāla-e-ātishīñ se yak-dam maiñ
dil-e-faulād aab kartā huuñ
āh-e-sozāñ o ashk-e-gul-gūñ se
kār-e-barq-o-sahāb kartā huuñ
dāġh-e-sozān-e-ishq se dil ko
chashma-e-āftāb kartā huuñ
barq ko bhī sakūñ huā āḳhir
maiñ hanūz iztirāb kartā huuñ
taaki 'bedār' us se ho ābād
ḳhāna-e-dil ḳharāb kartā huuñ
KHirqa rehn-e-sharab karta hun
dil-e-zahid kabab karta hun
nala-e-atishin se yak-dam main
dil-e-faulad aab karta hun
aah-e-sozan o ashk-e-gul-gun se
kar-e-barq-o-sahab karta hun
dagh-e-sozan-e-ishq se dil ko
chashma-e-aftab karta hun
barq ko bhi sakun hua aaKHir
main hanuz iztirab karta hun
taki 'bedar' us se ho aabaad
KHana-e-dil KHarab karta hun
- Book : Diwan-e-Bedar edited: Jalil Ahmad Qidwai (Pg. 61)
- Author : Meer Mohammad 'Bedar'
- Publication : Hindustani Academy, Allahabad (1937)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.