Sufinama

aankhon mein meri phirti hai taswir kisi ki

Mardan Safi

aankhon mein meri phirti hai taswir kisi ki

Mardan Safi

MORE BYMardan Safi

    āñkhoñ meñ mirī phirtī hai tasvīr kisī

    tasvīr maiñ huuñ merī hai tasvīr kisī

    but apne ko kahte haiñ sab ahl-e-tasavvuf

    tasvīr-e-butāñ hotī hai tasvīr kisī

    hai pesh-o-aqab dil ke mire aur chap-o-rāst

    har lahza miyāñ phirtī hai tasvīr kisī

    hastī hai kahīñ aur na bastī hai kisī

    dekhā to yahī hastī hai tasvīr kisī

    tasvīr mirī mere musavvir hai 'mardāñ'

    har-dam ye sadā detī hai tasvīr kisī

    aankhon mein meri phirti hai taswir kisi ki

    taswir main hun meri hai taswir kisi ki

    but apne hi ko kahte hain sab ahl-e-tasawwuf

    taswir-e-butan hoti hai taswir kisi ki

    hai pesh-o-aqab dil ke mere aur chap-o-rast

    har lahza miyan phirti hai taswir kisi ki

    hasti hai kahin aur na basti hai kisi ki

    dekha to yahi hasti hai taswir kisi ki

    taswir meri mere musawwir ki hai 'mardan'

    har-dam ye sada deti hai taswir kisi ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now