pas-e-parda tujhe har bazm mein shamil samajhte hain
pas-e-parda tujhe har bazm mein shamil samajhte hain
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
pas-e-parda tujhe har bazm meñ shāmil samajhte haiñ
koī mahfil ho ham us ko tirī mahfil samajhte haiñ
baḌe hushiyār haiñ vo jin ko sab ġhāfil samajhte haiñ
nazar pahchānte haiñ vo mizāj-e-dil samajhte haiñ
vo ḳhud kāmil haiñ mujh nāqis ko jo kāmil samajhte haiñ
vo husn-e-zan se apnā hī sā merā dil samajhte haiñ
samajhtā hai gunah rindī ko tū ai zāhid-e-ḳhud-bīñ
aur aise zohd ko ham kufr meñ dāḳhil samajhte haiñ
samajhtā hai ġhalat lailā ko lailā qais dīvāna
nazar vaale to lailā ko bhī ik mahmil samajhte haiñ
saḌī dīvāna saudā.ī jo chāhe so kahe duniyā
haqīqat-bīñ magar 'majzūb' ko 'āqil samajhte haiñ
pas-e-parda tujhe har bazm mein shamil samajhte hain
koi mahfil ho hum us ko teri mahfil samajhte hain
baDe hushiyar hain wo jin ko sab ghafil samajhte hain
nazar pahchante hain wo mizaj-e-dil samajhte hain
wo KHud kaamil hain mujh naqis ko jo kaamil samajhte hain
wo husn-e-zan se apna hi sa mera dil samajhte hain
samajhta hai gunah rindi ko tu ai zahid-e-KHud-bin
aur aise zohd ko hum kufr mein daKHil samajhte hain
samajhta hai ghalat laila ko laila qais diwana
nazar wale to laila ko bhi ek mahmil samajhte hain
saDi diwana saudai jo chahe so kahe duniya
haqiqat-bin magar 'majzub' ko 'aqil samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.