ji uThe murde teri aawaz se
jī uThe murde tirī āvāz se
phir zarā mutrib usī andāz se
intihā par hai nazar āġhāz se
huuñ muḳhātib tuur kī āvāz se
ik nazar meñ āshiyāñ-gum-karda ko
bhāñp leñ ham hai.at-e-parvāz se
jaag uThe fitne to nāloñ se mire
vo magar uTThe na ḳhvāb-e-nāz se
ahl-e-mahfil farsh-e-mahfil ho ga.e
bazm meñ aa.e vo is andāz se
aa hai haa.e haaye mast-e-shabāb
kis adā kis naaz kis andāz se
hosh dilbar kā tū ai 'majzūb' rakh
bas are bas pī magar andāz se
ji uThe murde teri aawaz se
phir zara mutrib usi andaz se
intiha par hai nazar aaghaz se
hun muKHatib tur ki aawaz se
ek nazar mein aashiyan-gum-karda ko
bhanp len hum haiat-e-parwaz se
jag uThe fitne to nalon se mere
wo magar uTThe na KHwab-e-naz se
ahl-e-mahfil farsh-e-mahfil ho gae
bazm mein aae wo is andaz se
aa hai hae haye mast-e-shabab
kis ada kis naz kis andaz se
hosh dilbar ka tu ai 'majzub' rakh
bas are bas pi magar andaz se
- Book : Gufta-e-Majzoob (Pg. 132)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.