ji na uThun kahin phir main jo tu mare daman
jī na uThūñ kahīñ phir maiñ jo tū maare dāman
jhaaḌ mat ḳhaak pe mere ye ġhubār-e-dāman
dāman-e-dasht hai pur-lālā-o-gul se yā-rab
ḳhūn-e-āshiq bhī kahīñ hove bahār-e-dāman
ham ki dāman se lage haiñ na kahīñ chhuT jāveñ
har ghaḌī khīñch na be-rahm kanār-e-dāman
taar bāñdhā hai mere ashk ne yaañ tak juuñ sham.a
hai vahī tār-e-garebāñ vahī tār-e-dāman
jab vo chāhe hai ki dāman ko uThā kar chaliye
hañs ke rakhtā mirī gardan pe hai bār-e-dāman
farsh-e-rah āñkheñ to kiiñ maiñ ne pe mere mizhgāñ
ḳhār-e-pā hoveñ kiso ke na ye ḳhār-e-dāman
'dard' tū kaun hai jo gard phaTakne paave
'dard' dāman hai tirā sadqe nisār-e-dāman
ji na uThun kahin phir main jo tu mare daman
jhaD mat KHak pe mere ye ghubar-e-daman
daman-e-dasht hai pur-lala-o-gul se ya-rab
KHun-e-ashiq bhi kahin howe bahaar-e-daman
hum ki daman se lage hain na kahin chhuT jawen
har ghaDi khinch na be-rahm kanar-e-daman
tar bandha hai mere ashk ne yan tak jun shama
hai wahi tar-e-gareban wahi tar-e-daman
jab wo chahe hai ki daman ko uTha kar chaliye
hans ke rakhta meri gardan pe hai bar-e-daman
farsh-e-rah aankhen to kin main ne pe mere mizhgan
KHar-e-pa howen kiso ke na ye KHar-e-daman
'dard' tu kaun hai jo gard phaTakne pawe
'dard' daman hai tera sadqe nisar-e-daman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.