naza mein to hun wale tera gila karata nahin
naza.a meñ to huuñ vale terā gila karatā nahīñ
dil meñ hai vo hī vafā par jī vafā karatā nahīñ
sa.ī-e-be-jā mat karo mehr-o-vafā-o-shokH tū
jī ko in bātoñ se hargiz āshnā karatā nahīñ
kaun sī shab hai ki misl-e-sham.a jab khultī hai aañkh
jā-e-ashk āñkhoñ se apnī ḳhuuñ girā karatā nahīñ
ishva-o-nāz-o-karishma haiñ sabhī jāñ-baḳhsh lek
'dard' martā hai koī is kī davā karatā nahīñ
naza mein to hun wale tera gila karata nahin
dil mein hai wo hi wafa par ji wafa karata nahin
sai-e-be-ja mat karo mehr-o-wafa-o-shokH tu
ji ko in baaton se hargiz aashna karata nahin
kaun si shab hai ki misl-e-shama jab khulti hai aankh
ja-e-ashk aankhon se apni KHun gira karata nahin
ishwa-o-naz-o-karishma hain sabhi jaan-baKHsh lek
'dard' marta hai koi is ki dawa karata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.