Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kya farq dagh-o-gul mein agar gul mein bu na ho

Khwaja Meer Dard

kya farq dagh-o-gul mein agar gul mein bu na ho

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    kyā farq dāġh-o-gul meñ agar gul meñ na ho

    kis kaam vo dil hai ki jis dil meñ na ho

    hove na haul-o-qūvat agar tere darmiyāñ

    jo ham se ho sake hai so ham se kabhū na ho

    jo kuchh ki ham ne hai tamannā milī magar

    ye aarzū hai ki kuchh aarzū na ho

    juuñ sham.a jam.a hoveñ gar ahl-e-zabāñ hazār

    aapas meñ chāhiye ki kabhī guftugū na ho

    juuñ subh-e-chāk siina mirā ai rafū-grāñ

    yaañ to kiso ke haath se hargiz rafū na ho

    ai 'dard' zañg-sūrat agar us meñ kare

    ahl-e-safā meñ ā.īna-e-dil ko na ho

    kya farq dagh-o-gul mein agar gul mein bu na ho

    kis kaam ka wo dil hai ki jis dil mein tu na ho

    howe na haul-o-quwat agar tere darmiyan

    jo hum se ho sake hai so hum se kabhu na ho

    jo kuchh ki hum ne ki hai tamanna mili magar

    ye aarzu hi hai ki kuchh aarzu na ho

    jun shama jama howen gar ahl-e-zaban hazar

    aapas mein chahiye ki kabhi guftugu na ho

    jun subh-e-chaak sina mera ai rafu-gran

    yan to kiso ke hath se hargiz rafu na ho

    ai 'dard' zang-surat agar us mein ja kare

    ahl-e-safa mein aaina-e-dil ko ru na ho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now