ye tahqiq hai ya ki afwah hai
ye tahqīq hai yā ki afvāh hai
ki dil ke ta.iiñ dil se yaañ raah hai
agar be-hijābāna vo but mile
ġharaz phir to allāh hī allāh hai
adam-e-raftgāñ ko jo kahnā hai kuchh
tū qāsid hamārā sar-e-rāh hai
na yaañ ilm-o-dānish na fazl-o-hunar
faqat ek dil hai ki āgāh hai
ga.e nāla-o-āh sab ham-nafas
dam-e-sard hī ik havā-ḳhvāh hai
ye kyā 'dard' tujh par musībat paḌī
ki din-rāt naala hai aur aah hai
ye tahqiq hai ya ki afwah hai
ki dil ke tain dil se yan rah hai
agar be-hijabana wo but mile
gharaz phir to allah hi allah hai
adam-e-raftgan ko jo kahna hai kuchh
tu qasid hamara sar-e-rah hai
na yan ilm-o-danish na fazl-o-hunar
faqat ek dil hai ki aagah hai
gae nala-o-ah sab ham-nafas
dam-e-sard hi ek hawa-KHwah hai
ye kya 'dard' tujh par musibat paDi
ki din-raat nala hai aur aah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.