apna to nahin yar main kuchh yar hun tera
apnā to nahīñ yaar maiñ kuchh yaar huuñ terā
tū jis kī taraf hove taraf-dār huuñ terā
kuḌhne pe mere jī na kuḌhā terī balā se
apnā to nahīñ ġham mujhe ġham-ḳhvār huuñ terā
tū hove jahāñ mujh ko bhī honā vahīñ lāzim
tū gul hai mirī jaan to maiñ ḳhaar huuñ terā
merī bhī taraf tū kabhī aa jā mire yūsuf
buḌhiyā kī tarah maiñ bhī ḳharīdār huuñ terā
ai 'dard' mujhe kuchh nahīñ ab aur to āzār
us chashm se kah denā ki bīmār huuñ terā
apna to nahin yar main kuchh yar hun tera
tu jis ki taraf howe taraf-dar hun tera
kuDhne pe mere ji na kuDha teri bala se
apna to nahin gham mujhe gham-KHwar hun tera
tu howe jahan mujh ko bhi hona wahin lazim
tu gul hai meri jaan to main KHar hun tera
meri bhi taraf tu kabhi aa ja mere yusuf
buDhiya ki tarah main bhi KHaridar hun tera
ai 'dard' mujhe kuchh nahin ab aur to aazar
us chashm se kah dena ki bimar hun tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.