us qadar tha ya karam ya zulm-rani is qadar
us qadar thā yā karam yā zulm-rānī is qadar
mehrbānī us qadar nā-mehrbānī is qadar
jaan ko aane de lab tak naza.a meñ kab tak rahūñ
dushmanī mujh se na kar ai nā-tavānī is qadar
kyā kahūñ dil kā kiso se qissa-e-āvārgī
koī bhī be-rabt hotī hai kahānī is qadar
'dard' tū karatā hai ma.anī ke ta.iiñ sūrat-pazīr
dastaras rakhte the kab bahzād maanī is qadar
us qadar tha ya karam ya zulm-rani is qadar
mehrbani us qadar na-mehrbani is qadar
jaan ko aane de lab tak naza mein kab tak rahun
dushmani mujh se na kar ai na-tawani is qadar
kya kahun dil ka kiso se qissa-e-awargi
koi bhi be-rabt hoti hai kahani is qadar
'dard' tu karata hai mani ke tain surat-pazir
dastaras rakhte the kab bahzad mani is qadar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.