qasam hai hazrat-e-dil hi ke aastane ki
qasam hai hazrat-e-dil hī ke āstāne kī
havas ho jī meñ jo dair-o-haram ke jaane kī
tarīq apne pe ik daur-e-jām chaltā hai
vagarna jo hai so gardish meñ hai zamāne kī
kyā jigar ko mere daaġh tere va.adoñ ne
ḳhabar sunī jo kahīñ maiñ kiso ke aane kī
nazar na kījiyo tū mere dil ke ḳhatroñ par
na jī meñ lā.iyo kuchh baat kyā divāne kī
jafā-o-jaur uThāne paḌe zamāne ke
havas thī jī meñ kiso naaz ke uThāne kī
tarīq-e-zikr to hai 'dard' yaad aalam ko
tirā batā.e kuchh apne ta.iiñ bhulāne kī
qasam hai hazrat-e-dil hi ke aastane ki
hawas ho ji mein jo dair-o-haram ke jaane ki
tariq apne pe ek daur-e-jam chalta hai
wagarna jo hai so gardish mein hai zamane ki
kya jigar ko mere dagh tere wadon ne
KHabar suni jo kahin main kiso ke aane ki
nazar na kijiyo tu mere dil ke KHatron par
na ji mein laiyo kuchh baat kya diwane ki
jafa-o-jaur uThane paDe zamane ke
hawas thi ji mein kiso naz ke uThane ki
tariq-e-zikr to hai 'dard' yaad aalam ko
tera batae kuchh apne tain bhulane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.