sahar hote hi uTh kar wo jo ghar se bahar aa-nikla
sahar hote hī uTh kar vo jo ghar se bāhar ā-niklā
udhar hī ittifāqan phirte-phirte maiñ bhī jā niklā
mire dil ko jo tū har dam bhalā itnā TaTole hai
tasavvur ke sivā tere batā tū us meñ kyā niklā
maiñ apnā haal kah saarā jo pūchhā va.ada aane kā
kahā sun-sun ke sab bātoñ ko āḳhir mudda.ā niklā
mirī tārīf kī thī us se ba.azoñ ne so vo sun-kar
lagā kahne jo sunte the vo apnā āshnā niklā
mile hai 'dard' us ke saath to dekhā ġharībī hai
ghamanD us ke jo thā jī meñ so ab shāyad gayā niklā
sahar hote hi uTh kar wo jo ghar se bahar aa-nikla
udhar hi ittifaqan phirte-phirte main bhi ja nikla
mere dil ko jo tu har dam bhala itna TaTole hai
tasawwur ke siwa tere bata tu us mein kya nikla
main apna haal kah sara jo puchha wada aane ka
kaha sun-sun ke sab baaton ko aaKHir muddaa nikla
meri tarif ki thi us se bazon ne so wo sun-kar
laga kahne jo sunte the wo apna aashna nikla
mile hai 'dard' us ke sath to dekha gharibi hai
ghamanD us ke jo tha ji mein so ab shayad gaya nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.