gul-o-gulzar KHush nahin aata
gul-o-gulzār ḳhush nahīñ aatā
bāġh-e-be-yār ḳhush nahīñ aatā
ai junūñ jeb meñ tire hāthoñ
ek bhī taar ḳhush nahīñ aatā
yā jafā ke sivā tujhe kuchh aur
ai sitam-gār ḳhush nahīñ aatā
'dard' ham ko ye rāt-din terā
nāla-e-zār ḳhush nahīñ aatā
gul-o-gulzar KHush nahin aata
bagh-e-be-yar KHush nahin aata
ai junun jeb mein tere hathon
ek bhi tar KHush nahin aata
ya jafa ke siwa tujhe kuchh aur
ai sitam-gar KHush nahin aata
'dard' hum ko ye raat-din tera
nala-e-zar KHush nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.