be-niyazi mein tujhko kya na hua
be-niyāzī meñ tujh ko kyā na huā
apne bandoñ kā to ḳhudā na huā
rañj be-jā na khīñchtā hargiz
dil mirā haif be-vafā na huā
jaan tak de chuke ham ai yaaro
tū bhī qātil kā mudda'ā na huā
zindagī kā samar ye paayā maiñ
shukr allāh koī ḳhafā na huā
ai nasīm-e-sahar tirī daulat
ġhuncha-e-dil kisī kā vā na huā
ā.īna dekh ye lagā kahne
'ishq' be-jā bhī mubtalā na huā
be-niyazi mein tujh ko kya na hua
apne bandon ka to KHuda na hua
ranj be-ja na khinchta hargiz
dil mera haif be-wafa na hua
jaan tak de chuke hum ai yaro
tu bhi qatil ka mudda'a na hua
zindagi ka samar ye paya main
shukr allah koi KHafa na hua
ai nasim-e-sahar teri daulat
ghuncha-e-dil kisi ka wa na hua
aaina dekh ye laga kahne
'ishq' be-ja bhi mubtala na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.