ho jawe hamari bhi sahar raat
ho jaave hamārī bhī sahar raat
mil baiTho jo aaj kī agar raat
mā’lūm nahīñ hai mujh ko ġhash meñ
jaatā hai kidhar ye din kidhar raat
hogī jo sahar to 'iid hogī
jiite bache aaj kī agar raat
yaaro vo shab ba-ḳhair kah ke
jī kar gayā be-ḳhabar safar raat
mumkin nahīñ jī bache sahar tak
baaqī hai abhī to dopahar raat
be-kāTe dil-o-jigar ko ai 'ishq'
kaTtī nahīñ aatī ye nazar raat
ho jawe hamari bhi sahar raat
mil baiTho jo aaj ki agar raat
ma’lum nahin hai mujh ko ghash mein
jata hai kidhar ye din kidhar raat
hogi jo sahar to 'id hogi
jite bache aaj ki agar raat
yaro wo shab ba-KHair kah ke
ji kar gaya be-KHabar safar raat
mumkin nahin ji bache sahar tak
baqi hai abhi to dopahar raat
be-kaTe dil-o-jigar ko ai 'ishq'
kaTti nahin aati ye nazar raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.