yar hai zor-azmai par
yaar hai zor-āzmā.ī par
dil bhī hāzir hai jaañ fidā.ī par
ā.īna āb-āb hotā hai
tere ruḳhsār kī safā.ī par
fikr-esayyād bhuul kar bulbul
phūlī ab gul kī āshnā.ī par
nā’sh-e-maqtūl par nahīñ ye hujūm
dhuum hai jo kaf-e-hinā.ī par
jī nikaltā hai 'ishq kā yaaro
ḳhūb-ruoñ kī ḳhud-numā.ī par
yar hai zor-azmai par
dil bhi hazir hai jaan fidai par
aaina aab-ab hota hai
tere ruKHsar ki safai par
fikr-esayyaad bhul kar bulbul
phuli ab gul ki aashnai par
na’sh-e-maqtul par nahin ye hujum
dhum hai jo kaf-e-hinai par
ji nikalta hai 'ishq ka yaro
KHub-ruon ki KHud-numai par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.