tujhe kya kahun main kahan dekhta hun
tujhe kyā kahūñ maiñ kahāñ dekhtā huuñ
tujhe dekhtā huuñ jahāñ dekhtā huuñ
diyā jab se āñkhoñ meñ kuhl-e-mohabbat
jo kuchh thā nihāñ so 'ayāñ dekhtā huuñ
bayāñ kī na tāqat na shikve kī qudrat
dikhāte ho jo kuchh miyāñ dekhtā huuñ
'adam ko vujūd aur vujūd is 'adam ko
makāñ hī meñ maiñ lā-makāñ dekhtā huuñ
sivā dair-o-kā'ba meñ DhūñDūñ kidhar maiñ
na yaañ dekhtā huuñ na vaañ dekhtā huuñ
kahūñ tujh se kyā 'ishq' hālat maiñ apnī
ki har shai meñ apnā nishāñ dekhtā huuñ
tujhe kya kahun main kahan dekhta hun
tujhe dekhta hun jahan dekhta hun
diya jab se aankhon mein kuhl-e-mohabbat
jo kuchh tha nihan so 'ayan dekhta hun
bayan ki na taqat na shikwe ki qudrat
dikhate ho jo kuchh miyan dekhta hun
'adam ko wujud aur wujud is 'adam ko
makan hi mein main la-makan dekhta hun
siwa dair-o-ka'ba mein DhunDun kidhar main
na yan dekhta hun na wan dekhta hun
kahun tujh se kya 'ishq' haalat main apni
ki har shai mein apna nishan dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.