dam-ba-dam tujhko yaad karte hain
dam-ba-dam tujh ko yaad karte haiñ
dil-e-ġham-ghīñ ko shaad karte haiñ
haqq-e-ta'ala tirī murādeñ de
ye du'ā nā-murād karte haiñ
un ko kahte haiñ sāhib-e-himmat
haath ko jo kushād karte haiñ
zindagī tak judā nahīñ hote
jis se ham ittihād karte haiñ
ai 'alī-e-valī gadā tere
banda ko keqbād karte haiñ
choT par dil kī 'ishq' suntā hai
lā’l-e-lab kā zimād karte haiñ
dam-ba-dam tujh ko yaad karte hain
dil-e-gham-ghin ko shad karte hain
haqq-e-ta'ala teri muraden de
ye du'a na-murad karte hain
un ko kahte hain sahib-e-himmat
hath ko jo kushad karte hain
zindagi tak juda nahin hote
jis se hum ittihad karte hain
ai 'ali-e-wali gada tere
banda ko keqbaad karte hain
choT par dil ki 'ishq' sunta hai
la’l-e-lab ka zimad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.