Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kyun kar na mile unhen KHudai

Khwaja Ruknuddin Ishq

kyun kar na mile unhen KHudai

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    kyuuñ kar na mile unheñ ḳhudā.ī

    karte haiñ bure se jo bhalā.ī

    mushfiq ye hue jahāñ meñ paidā

    rusvā na ho kyuuñ ke āshnā.ī

    Tuk shaiḳh vaañ talak to chaliye

    dekheñge tumhārī pārsā.ī

    sar jaave to jaave is suḳhan par

    kab karte haiñ mard be-vafā.ī

    sar jaave to jaave is suḳhan par

    kab karte haiñ mard be-vafā.ī

    sho.ala na kare vo sham.a se aah

    kartī hai jo kuchh tirī judā.ī

    jis shai ko kiyā talāsh paayā

    par bū-e-vafā kahīñ na paa.ī

    kar qatl 'ishq ko mirī jaañ

    manzūr agar hai ḳhud-numā.ī

    kyun kar na mile unhen KHudai

    karte hain bure se jo bhalai

    mushfiq ye hue jahan mein paida

    ruswa na ho kyun ke aashnai

    Tuk shaiKH ji wan talak to chaliye

    dekhenge tumhaari parsai

    sar jawe to jawe is suKHan par

    kab karte hain mard be-wafai

    sar jawe to jawe is suKHan par

    kab karte hain mard be-wafai

    shoala na kare wo shama se aah

    karti hai jo kuchh teri judai

    jis shai ko kiya talash paya

    par bu-e-wafa kahin na pai

    kar qatl tu 'ishq ko meri jaan

    manzur agar hai KHud-numai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now