ishq aankhon ko kis ki takta hai
'ishq āñkhoñ ko kis kī taktā hai
aaj jo dam-ba-dam bahaktā hai
haaye yaaro ḳhudā hī ḳhair kare
zaḳhm-e-dil be-tarah Tapaktā hai
kisī bedād-gar ne yaad kiyā
dil-e-majrūh jo dhaḌaktā hai
kis tarh se na huuñ maiñ garm-e-suḳhan
aag meñ dil paḌā dahaktā hai
dard-e-dil kyā karūñ bayāñ zālim
kuchh sināñ kī tarh chamaktā hai
'ishq ko shā’irī nahīñ manzūr
dil meñ aatā hai so vo baktā hai
'ishq aankhon ko kis ki takta hai
aaj jo dam-ba-dam bahakta hai
haye yaro KHuda hi KHair kare
zaKHm-e-dil be-tarah Tapakta hai
kisi bedad-gar ne yaad kiya
dil-e-majruh jo dhaDakta hai
kis tarh se na hun main garm-e-suKHan
aag mein dil paDa dahakta hai
dard-e-dil kya karun bayan zalim
kuchh sinan ki tarh chamakta hai
'ishq ko sha’iri nahin manzur
dil mein aata hai so wo bakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.