nisbaten puKHta hon tabhi hota hai hunar paida

nisbaten puKHta hon tabhi hota hai hunar paida
Khwaja Salman Ahmad Nasiri
MORE BYKhwaja Salman Ahmad Nasiri
nisbateñ puḳhta hoñ tabhī hotā hai hunar paidā
vagarna dekhā kabhī kaTī shāḳh se samar paidā
kar harārat-e-īmāñ se vo ḳhūn-e-jigar paidā
phir hogā filistīn meñ koī misl 'umr paidā
ḳhālī hai terā nasheman sūkhī haiñ terī āñkheñ
lagā phir nā'ra-e-haidar kar inqilābī zumar paidā
hai āh-o-zārī meñ gum ye ummat kī pāmardī
idrāk ho ḳhudī par to hogā gauhar paidā
'salmān' kī du'ā hai husainī vo bhī rakkhe
teġh-e-nazar us samt ho ho tafraqe jidhar paidā
nisbaten puKHta hon tabhi hota hai hunar paida
wagarna dekha kabhi kaTi shaKH se samar paida
kar hararat-e-iman se wo KHun-e-jigar paida
phir hoga filistin mein koi misl 'umr paida
KHali hai tera nasheman sukhi hain teri aankhen
laga phir na'ra-e-haidar kar inqilabi zumar paida
hai aah-o-zari mein gum ye ummat ki pamardi
idrak ho KHudi par to hoga gauhar paida
'salman' ki du'a hai husaini wo bhi rakkhe
tegh-e-nazar us samt ho ho tafraqe jidhar paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.