tera sani koi hua nahin tera husn husn-e-kamal hai
tera sani koi hua nahin tera husn husn-e-kamal hai
Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
terā saanī koī huā nahīñ terā husn husn-e-kamāl hai
na jahāñ meñ terī nazīr hai na jahāñ meñ terī misāl hai
vahī apnī manzileñ pā gayā tere ishq meñ jo fanā huā
jise ishq terā milā use koī rañj hai na malāl hai
ye kisī kā mujh pe huā karam mere sāmne hai mirā sanam
mere dil ke ḳhāne meñ har ghaḌī terī yaad terā ḳhayāl hai
tu hī justujū hai junūn hai tuhī chain hai tu sukūn hai
mujhe koī tujh se judā kare ye bhalā kisī kī majāl hai
tere dam se hai merī zindagī terā ishq hai merī bandagī
tere zikr-o-fikr ko chhoḌ kar mujhe ek pal bhī muhāl hai
koī ġham bhī dil kā ayaañ nahīñ mujhe koī fikr-e-jahāñ nahīñ
merī aarzū kā hasīñ chaman terī chāhatoñ se bahāl hai
tere ghar se duur na rah sakūñ maiñ 'shāyāñ' ye bhī na kah sakūñ
isī ġham se dil meñ hai bekalī isī ġham se dil meñ malāl hai
tera sani koi hua nahin tera husn husn-e-kamal hai
na jahan mein teri nazir hai na jahan mein teri misal hai
wahi apni manzilen pa gaya tere ishq mein jo fana hua
jise ishq tera mila use koi ranj hai na malal hai
ye kisi ka mujh pe hua karam mere samne hai mera sanam
mere dil ke KHane mein har ghaDi teri yaad tera KHayal hai
tu hi justuju hai junun hai tuhi chain hai tu sukun hai
mujhe koi tujh se juda kare ye bhala kisi ki majal hai
tere dam se hai meri zindagi tera ishq hai meri bandagi
tere zikr-o-fikr ko chhoD kar mujhe ek pal bhi muhaal hai
koi gham bhi dil ka ayan nahin mujhe koi fikr-e-jahan nahin
meri aarzu ka hasin chaman teri chahaton se bahaal hai
tere ghar se dur na rah sakun main 'shayan' ye bhi na kah sakun
isi gham se dil mein hai bekali isi gham se dil mein malal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.