kaho yahan nazar nazar mein ain shin qaf hai
kaho yahāñ nazar nazar meñ ain shiin qaaf hai
har ek ke dil-o-jigar meñ ain shiin qaaf hai
kisī ke rū-e-kHūb-tar meñ ain shiin qaaf hai
kisī kī zulf tā-kamar meñ ain shiin qaaf hai
jo husn-e-dil-fareb ho to ishq bhī hai be-asar
vagarna husn-e-mo'atabar meñ ain shiin qaaf hai
jo raah se bhaTak ga.e vo manziloñ se duur haiñ
thakāvatoñ ke is safar meñ ain shiin qaaf hai
kisī ko zindagī milī kisī ko maut mil ga.ī
patā chalā ke har ḳhabar meñ ain shiin qaaf hai
dhaḌak rahā hai zor se to kuchh to baat hai zarūr
ke dil ke dard-e-muntashir meñ ain shiin qaaf hai
'hasan' vo ham se pūchhte haiñ āñsuoñ kā falsafa
huzūr merī chashm-e-tar meñ ain shiin qaaf hai
kaho yahan nazar nazar mein ain shin qaf hai
har ek ke dil-o-jigar mein ain shin qaf hai
kisi ke ru-e-kHub-tar mein ain shin qaf hai
kisi ki zulf ta-kamar mein ain shin qaf hai
jo husn-e-dil-fareb ho to ishq bhi hai be-asar
wagarna husn-e-mo'atabar mein ain shin qaf hai
jo rah se bhaTak gae wo manzilon se dur hain
thakawaton ke is safar mein ain shin qaf hai
kisi ko zindagi mili kisi ko maut mil gai
pata chala ke har KHabar mein ain shin qaf hai
dhaDak raha hai zor se to kuchh to baat hai zarur
ke dil ke dard-e-muntashir mein ain shin qaf hai
'hasan' wo hum se puchhte hain aansuon ka falsafa
huzur meri chashm-e-tar mein ain shin qaf hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.