’āshiq-e-zulf-o-ruḳh-e-dildār āñkheñ ho ga.iiñ
mubtilā-e-kāfir-o-dīñdār āñkheñ ho ga.iiñ
hai tasavvur bas-ki āñkhoñ meñ ḳhat-e-ruḳhsār kā
ā.īne kī tarah jauhar-dār āñkheñ ho ga.iiñ
ai but-e-kāfir hai bas be-’aib zaat allāh kī
lab tire 'iisā hue bīmār āñkheñ ho ga.iiñ
vo to haiñ chashm-e-suḳhan go gar nahīñ hai ik dahan
chup na rahiye qābil-e-guftār āñkheñ ho ga.iiñ
sāqī-o-mīnā-o-sāġhar ek aate haiñ nazar
bāda-e-vahdat se kyā sarshār āñkheñ ho ga.iiñ
phir gayā vo aake ab jaage to kyā hāsil 'vazīr'
so ga.e jab baḳht tab bedār āñkheñ ho ga.iiñ
’ashiq-e-zulf-o-ruKH-e-dildar aankhen ho gain
mubtila-e-kafir-o-dindar aankhen ho gain
hai tasawwur bas-ki aankhon mein KHat-e-ruKHsar ka
aaine ki tarah jauhar-dar aankhen ho gain
ai but-e-kafir hai bas be-’aib zat allah ki
lab tere 'isa hue bimar aankhen ho gain
wo to hain chashm-e-suKHan go gar nahin hai ek dahan
chup na rahiye qabil-e-guftar aankhen ho gain
saqi-o-mina-o-saghar ek aate hain nazar
baada-e-wahdat se kya sarshaar aankhen ho gain
phir gaya wo aake ab jage to kya hasil 'wazir'
so gae jab baKHt tab bedar aankhen ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.